Thursday 28 September 2017

(Armaghan-e-Hijaz-41) Sir Akbar Haideri, Sadar-e-Azam Haiderabad Dakkan Ke Naam (سر اکبر حیدری، صدر اعظم حیدرآباد دکن کے نام) To Sir Akbar Hyderi The Chief Minister Of Hyderabad Deccan


Sir Akbar Haideri, Sadar-E-Azam Haidar Abad Dakkan Ke Naam
To Sir Akbar Hyderi 
The Chief Minister Of Hyderabad Deccan 


On receiving a cheque of one thousand rupees as ‘entertainment’ from the privy purse of the Nizam, which is in the charge of the Chief Minister

Tha Ye Allah Ka Farman K Shikwa-E-Parwaiz
Do Qalander Ko K Hain Iss Mein Mulukana Sifaat

It was God’s command that the pomp of Parviz 
Be given to the qalandar, for he has angelic attributes.

Mujh Se Farmaya K Le, Aur Shehanshahi Kar
Husn-E-Tadbeer Se De Ani-O-Fani Ko Sibat

I was told: Take it and be an emperor;
Confer permanence on the ephemeral with your talent.


Mein To Iss Bar-E-Amanat Ko Uthata Sar-E-Dosh
Kaam-E-Darvesh Mein Har Talakh Hai Manind-E-Nabat

I would have much honoured this trust—
All bitterness tastes sweet to the mouth of a dervish.

Ghairat-E-Faqr Magar Kar Na Saki Iss Ko Qabool
Jab Kaha Uss Ne Ye Hai Meri Khudai Ki Zakaat !

However, the self‐respect of faqr could not accept it 
When He said: this is the charity of my Godhead.

No comments:

Post a Comment